Posts

Showing posts from September, 2021

Hadees Of The Day | 27 September

Image
Hadees Of The Day | 27 September Hadees Of The Day | 27 September Dil Sahih tou pura Jism Sahih Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Jism me ek tukda hai jab wo thik rahega tou pura jism thik rahega aur jab wo kharab ho jayega tou pura jism kharab ho jayega. sun lo! wo tukda aadmi ka Dil hai. " 📕  Sahih Bukhari: 52

Hadees Of The Day | 25 September

Image
Hadees Of The Day | 25 September Hadees Of The Day | 25 September Deen me Naye Aqeede (Biddat) Ijad karne se Bachna Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Deen me nikali gayi Nayi Baaton se bachte rehna, kyunki har nayi baat Biddat hai aur Har Biddat Gumrahi hai." 📕  Abu Dawood: 4607-Sahih

Hadees Of The Day | 24 September

Image
Hadees Of The Day | 24 September Hadees Of The Day | 24 September Dua ke Adab Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Jab Tum me se koi Dua kare to Pehle apne Rab ki Tareef bayan kare, Phir Nabi ﷺpar Durood bheje, Uske baad jo chahe Dua mange." 📕  Abu Dawood: 1481-Sahih More Related Hadees

Hadees Of The Day | 23 September

Image
Hadees Of The Day | 23 September Hadees Of The Day | 23 September Sabse Behtar Amal (Neki) Jo Humesha kiya Jaye Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Beshaq Allah Taala ke Nazdeeq Sabse Behtareen Amal (Neki) wo hai jo humesha kiya jaye chahe wo kum hi kyun na ho." 📕  Sahih Bukhari: 6464

Hadees Of The Day | 22 September

Image
Hadees Of The Day | 22 September Hadees Of The Day | 22 September Nek Bando ke liye Jannat ki Nematein ۞ Hadees : Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: Allah Taala farmata hai "Maine Apne Nek Bandon ke Liye (Jannat Mein) Woh Cheezein Tayyar Kar Rakhi Hain Jinhein Kisi Aankh ne Dekha na Kisi Kaan ne Suna aur na Kisi ke Gumaan Mein Woh Aayi Hain." 📕  Sahih Bukhari: 4779

Hadees Of The Day | 21 September

Image
Hadees Of The Day | 21 September Hadees Of The Day | 21 September Padosi ka Haq Jab Tum Shorba (Salan) Pakao Tou Padosiyon ko bhi do ۞ Hadees : Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya : "Jab tum Shorba (Salan) Pakao tou usme paani jyada rakho aur padosiyon ko bhi yaad karo (diya karo) ." 📕  Sahih Muslim 6688 (2625)

Hadees Of The Day | 20 September

Image
Hadees Of The Day | 20 September Hadees Of The Day | 20 September Fazar ki 2 Rakat ki Fazilat ۞ Hadees : Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya : "Fajr ki 2 Rakaten Duniya se aur jo kuch Duniya mein hai Un sab se Behtar hain." 📕  Sahih Muslim 725

Hadees Of The Day | 19 September

Image
Hadees Of The Day | 19 September Hadees Of The Day | 19 September Dunia me aise Raho Jaise Musafir Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya : "Duniya mein Aise Raho Jaise Tum Ek Musafir ho Ya Raasta Paar karne Wale ho.” ( Sahih Bukhari : 6416 )

औलिया अल्लाह

औलिया अल्लाह | Allah ke wali (Aulia Allah) ki Pehchan aur Sifat https://hindi.ummat-e-nabi.com/2021/09/allah-ke-wali-aulia-allah-ki-pehchan.html

Hadees Of The Day | 18 September

Image
Hadees Of The Day | 18 September Hadees Of The Day | 18 September Allah uspar Gussa hota hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya : "Beshaq jo shakhs Allah se nahi mangta tou Allah uspar Gussa hota hai.” ( Sunan Tirimizi 3373-Hasan )

Har 1000 me se 999 Jahannami honge

Image
Har 1000 me se 999 Jahannami honge Hadees: Jahannamiyo ki Tadaat Hazrat Abu Saeed Khudri (R.A) Bayan karte hai ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya : Allah Ta'ala Qayamat ke din farmayega, Aey Aadam ! Aadam (A.S.) arz karege, Mai itaat ke liye hazir hu, Allah Ta'ala farmayega, Jahannam me jaane walo ko logo se alag Nikal lo, Adam (A.S.) arz karenge, Aye Allah ! Jahannamiyo ki tadaat kitni hai? Allah Ta'ala farmayega ke har 1000 me se 999 .

Hadees Of The Day | 17 September

Image
Hadees Of The Day | 17 September Hadees Of The Day | 17 September Karz ko Acchi Tarah Ada kare Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya : "Tum me se Behtareen Shakhs woh hai Jo Apne Karz ko Acchi Tarah Ada kare.” ( Sahih Bukhari 2392 )

Behtareen Biwi aur Behtareen Shohar ki Pehchan

Image
Behtareen Biwi aur Behtareen Shohar ki Pehchan ✦ Behtareen Biwi Ki Pehchan ✓ Jo Apne Shohar ki farmabardari aur Khidmat guzari ko apna farz-e-azeem samjhe. ✓ Jo Apne Shohar ke tamam Huqooq ada karne me kotahi na karen. ✓ Jo Apne Shohar ki Khubiyon per Nazar rakhe aur uske Aib aur Khamiyon ko nazar-andaz karti rahe. ✓ Jo Khud takleef utha kar Apne Shohar ko aaram pohchane ki humesha koshish karti rahe. ✓ Jo Apne Shohar se uski Aamdani se zyada ka mutaliba na kare aur jo mil jaye uspar Sabr-O-Shukr ke sath zindagi basar kare. ✓ Jo Apne Shohar ke siwa kisi Ajnabi Mard per nigah na dale na kisi ki nigah apne uper padhne de. ✓ Jo Parde me rahe aur Apne Shohar ki Izzat-O-Namoos ki hifazat kare. ✓ Jo Shohar ke Maal aur Makan-O-Saman aur khud Apni jaat ko Shohar ki amanat samajh ker har cheez ki hifazat-o-nigehbani karti rahe. ✓ Jo Apne Shohar ki Musibat me Apni Jani-O-Maali Qurbani ke sath wafadari ka saboot de. ✓ Jo Parhezgaari ki paband au

Jannat ki Basharat in 6 halaton me agar Mout aajaye tou ...

Image
Jannat ki Basharat in 6 halaton me agar Mout aajaye tou ... Hadith: Jo bhi Musalman in 6 halaton mein se kisi bhi ek halat mai faut hua (mout aayi) to uske liye Jannat ki Basharat hai RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "6 Halatein aisee hain jo bhi Musalman inme se kisi bhi halat mein faut hua (yaani mar gaya) toh Allah Subhanahu par zimma hai ke wo usko jannat mai dakhil kare." 1. Wo Shakhs jo Jihad karne ke liye nikla agar ussi is halat mai faut ho gaya toh Allah ke zimme mein hai. 2. Wo Shakhs jo kisi janaze ke sath chala agar wo ussi halat main faut ho gaya toh Allah ka zimme mein hai. 3. Wo Shakhs jisne kisi Mareez ki Ayadat ki agar wo ussi halat main faut ho gaya to wo Allah ke zimme mein hai . 4. Wo jisne achchi tarha wazu kiya phir namaz padhne ke liye masjid ki taraf chala agar wo ussi halat mai faut hua toh wo Allah ke zimme mein hai. 5. Wo Shakhs jo Muslamano ke ameer (imam) ke paas sirf uski madad aur izzat ke liye

Hadees Of The Day | 16 September

Image
Hadees Of The Day | 16 September Hadees Of The Day | 16 September Allah bande ki Madad me Rehta hai RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Aur Allah Bande ki Madad Mein Rahta hai Jab tak Banda Apne Bhai ki Madad me Rahta hai..” ( Sahih Muslim : 2699 )

Hijama aur Shehad ki Fazilat

Image
Hijama aur Shehad ki Fazilat Jin cheezo se tum ilaj karte ho usmein sabse jyada khair Hijama (Cupping) me hai ✦ Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu anhu) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya "Jin cheezo se tum ilaj karte ho agar usmein se kisi mein khair hai to wo Hijama (cupping) hai." 📕 Sunan Abu Dawood, Jild 3,459-Sahih ✦ Hadees: Ibn Abbas (RaziAllahu anhu) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne ehram ki halat mein apne sir mein Hijama karwaya , aadhe Sir mein dard ki wajah se jo aapko ho gaya tha. 📕 Sahih Bukhari, Jild 7, 5701 ✦ Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu anhu) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) sallam ne farmaya "Jis shakhs ne 17, 19 aur 21 (Hijri) tarikh ke din Hijama karwaya to usmein har beemari se shifa hai." 📕 Sunan Abu Dawud, Jild 3, 463-Hasan Hijama aur Shehad me khair aur Aag se ilaj ko Napasandida kiya ✦ Hadees: Jabir bin Abdullah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya &quo

Hadees Of The Day | 13 September

Image
Hadees Of The Day | 13 September Hadees Of The Day | 13 September Allah tumhare Dil aur Amal ko dekhta hai RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Be-Shak Allah Ta'ala Tumhari Suraton aur Tumhare Malon ko Nahi Dekhta Balki Tumhare Dilon aur Tumhare A'amaal ko Dekhta hai.” ( Sahih Muslim : 2564 )

Hadees Of The Day | 12 September

Image
Hadees Of The Day | 12 September Hadees Of The Day | 12 September Un Logo ki Tarah mat ho jana RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : “Aur Tum Un Logon ki Tarha Mat Hojana Jinhone Allah (Ke Ahkaam) Ko Bhula Diya..” ( Qur'an 59:19 )