Posts

Showing posts with the label Sawaab

Hadees: Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou uspar bhi sawab diya jata hai

Image
Hadees: Irbaz bin Saariyah (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou uspar bhi Sawaab diya jata hai." 📕 Musnade Ahmed, Hadees  17155 https://ummat-e-nabi.com/jab-aadmi-apni-biwi-ko-paani-pilaata-hai/?feed_id=1078&_unique_id=6676458c12967

Bewah Aurato ka Nikah: Quran Hadees ki roshni mein

Image
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Bewah Aurato ka Nikah: Quran Hadees ki roshni mein Kuch Aisi Rasam’en bhi Musalman me Raaij hai ke Bewah Aurat ka Nikah ko Bura aur aar Samjhte hai, Balke Isko Aib Samajhne me Kufr ka khauf hai, Kyunke Shariyat ke kisi Hukm ko Aib Samajhna aur Iske karne waale ko Zaleel Jan'na Kufr hai. Allah Ta'ala ne Quraan me Irshaad farmaya hai : Al-QURAN "Aur Nikah kardo Apno me Inn ka Jo Benikah ho aur Apne Layaq Ghulamao aur Kaneezao ka." 📕 Surah Al-Noor 24:32 Mafhoom-e-Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad farmaya ke - "Yaani Meri Ummat me Fasaad Phail Jane ke Waqt jo Shakhs Musibat ke Waqt meri Sunnat par Amal kare Isko 100 Shaheedo ka Sawaab milega." 📕 Mishkaat Jild 1, Safa 30 Asah’al’matabeh, Jannati Zewar 304, 305 Allah Taala hume kehne sunne se jyada Amal ki taufiq de. Ameen Ya Rabbul Aalmeen. https://ummat-e-nabi.com/bewah-aurato-ka-nikah/?feed_id=554&_unique_id=665ff665202

Kisi Musalman ke Aib Chupaane ka Sawaab: Hadees

Image
۞ Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) Irshad farmatey hai ki, " Jo Aadmi kisi Musalman ke Aib ko Dekh le aur phir Usey Chhupaye tou isey Allah Ta’ala Itna Ziyada Sawaab ata karega jaise Zinda dafnayi bacchi ko Qabr se Nikal kar uski Parwarish kare aur uski Zindagi ka Saamaan kar dey." 📕 Mishkat 2-424 https://ummat-e-nabi.com/dusron-ke-aib-chupane-ka-sawaab/?feed_id=521&_unique_id=665fdbf7bf0ae