Posts

Showing posts with the label Musnad Ahmad ibn Hanbal

Hadees: Logon ko Deen sikhaao aur aasaniya paida karo, tangi na karo

Image
Logon ko Deen sikhaao aur Aasania paida karo Hadees: Abdullah Ibne Abbas (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Logon ko Deen sikhaao aur aasaniya paida karo, tangi paida na karo." 📕 Musnade Ahmed, Hadees 2136 https://ummat-e-nabi.com/hadith-logon-ko-deen-sikhaao-aur-aasaniya-paida-karo-tangi-paida-na-karo/?feed_id=1393&_unique_id=6691f52395cab

Hadees: Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou uspar bhi sawab diya jata hai

Image
Hadees: Irbaz bin Saariyah (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou uspar bhi Sawaab diya jata hai." 📕 Musnade Ahmed, Hadees  17155 https://ummat-e-nabi.com/jab-aadmi-apni-biwi-ko-paani-pilaata-hai/?feed_id=1078&_unique_id=6676458c12967

Astaghfar ki Dua, Astaghfar ka Taruf, Ahmiyat, Fazilat | Astaghfar in Hindi

Image
Astaghfar ka Taruf Astaghfar kise kehte hai ? Insan ki fitrat hai ke us se khata, galati ya gunah ho jate hai, aur jab wo apne kiye par sharminda ho kar sacche dil se apne Rab se muafi talab karta hai tou usey ' Astaghfar ' kehte hai. Astaghfar ki Ahmiyat: ۞ Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Main Allah ki bargah me Astaghfar (Muafi Manga) karta hoon aur uski taraf ruju karta hoon din me 70 baar se bhi jyada." 📕 Bukhari, Vol:8, Book:75, Hadith 319 Hum sab jante hai ke Ambiya (Alaihi Salato Salam) Gunaho se paak hote hai, aur Allah ke Nabi (Salallahu Alaihi Wasallam) tou bakhshe bakhshaye hai, lekin fir Aap  (ﷺ) apni Ummat ko tarbiyat dene ke liye khud Astagfar ki qasrat kiya karte they. lihaja hum par tou lazim hai ke hume jyada se jyada Astaghfar karna hai. Astaghfar ki Fazilat: ۞ Hadees: Anas (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jo Astghfar karne ko apne upar lazim karega tou Allah Subhanahu