Posts

Showing posts from July, 2024

ilm ke utha liye jane se pehle haasil kar lo

Image
ilm ke utha liye jane se pehle haasil kar lo Hadees: Abu Umamah (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: ❝Logo! Ilm ke wapas liye jaane aur utha liye jane se pehle ilm hasil kar lo.❞ 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 228 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ke-utha-liye-jane-se-pehle-haasil-kar-lo/?feed_id=1453&_unique_id=66973af9742bd

Hadees: Allah ke Nazdeek Izzat wala banda

Image
Allah ke Nazdeek Izzat wala banda Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Hazrat Musaa (Alaihi Salam) ne Allah Taala se daryaft kiya ke Aap ke nazdik sabse jyada Izzat wala banda koun hai? " Allah Taala ne farmaya ke: "Jo badla lene ki Quwwat ke bawajud bhi muaf kar de." 📕 Sho'abul Iman 8327 https://ummat-e-nabi.com/allah-ke-nazdeek-sabse-jyada-izzat-wala-banda-koun/?feed_id=1438&_unique_id=6695e98049c3b

Sacha aur Amanatdar Tajeer Qayamat ke din

Image
Sacha aur Amanatdar Tajeer Qayamat ke din Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farman hai: “Sacha aur Amanatdar Tajir Qayamat ke din Ambiya Siddiqeen aur Shuhda ke sath hoga.” 📕 Tirmidhi, Hadees 1209 https://ummat-e-nabi.com/sacha-aur-amanatdar-tajeer-qayamat-ke-din/?feed_id=1423&_unique_id=6694981a3fe83

Khushnaseeb hai wo shakhs jo nasihat hasil kare

Image
Khushnaseeb hai wo shakhs jo nasihat hasil kare Hadees: Abdullah bin Masood (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmate hai ke "Khushnaseeb hai wo shakhs jo doosro se nasihat hasil kare." 📕 Sunan Ibne Majah, Hadees 46 https://ummat-e-nabi.com/khushnaseeb-hai-wo-shakhs-jo-nasihat-hasil-kare/?feed_id=1408&_unique_id=669346b35ba94

Hadees: Logon ko Deen sikhaao aur aasaniya paida karo, tangi na karo

Image
Logon ko Deen sikhaao aur Aasania paida karo Hadees: Abdullah Ibne Abbas (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Logon ko Deen sikhaao aur aasaniya paida karo, tangi paida na karo." 📕 Musnade Ahmed, Hadees 2136 https://ummat-e-nabi.com/hadith-logon-ko-deen-sikhaao-aur-aasaniya-paida-karo-tangi-paida-na-karo/?feed_id=1393&_unique_id=6691f52395cab

Insaan ke Badan ke har Jod par har Din ka Sadqa Waajib

Image
Insaan ke Badan ke Har Jod par har Din ka Sadqa Waajib Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hain : "Insaan ke Badan ke har Jod par har us Din ka Sadqa Waajib hai Jismein Sooraj Tuloo hota hai. aur Logo ke Darmiyaan Insaaf karna bhi Ek Sadqa hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees : 2707 https://ummat-e-nabi.com/insaan-ke-badan-ke-har-jod-par-har-din-ka-sadqa-waajib/?feed_id=1378&_unique_id=6690a3987c449

Namaz me banda Rab se Baate karta hai

Image
Namaz me banda Rab se Baate karta hai Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - " Jab Koi Shakhs Namaz ke liye Khada hota hai, tou goya wo Apne Rab ke Saath Sargoshi (yaani baate) karta hai. Ya Yu farmaya ki Uska Rab uskey aur Qibley ke darmiyan hota hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 405 https://ummat-e-nabi.com/jab-koi-shaksh-namaz-ke-liye-khada-hota-hai/?feed_id=1363&_unique_id=668f51fb7909d

Apni badhai aur taarif na kiya karo

Image
Apni badhai aur taarif na kiya karo Hadees: Zainab Binte Abi Salma (R.A) se mairwi ki, Unka naam badah (Nekokar) tha, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Apna tazkiya na karo (Yaani apni badhai aur taarif na karo) Allah ko malum hai ki tum me bura aur neki wala koun hai, uska naam Zainab rakh do." 📕 Islami Akhlaq-O-Aadab, Page No#269, Hadith 17 Allah Taala hum sabko kehne sunne se jyada amal ki toufiq de. Ameen Allahumma ameen. https://ummat-e-nabi.com/apni-badhai-aur-taarif-na-kiya-karo/?feed_id=1348&_unique_id=668e008e6ab33

Apne Bhai ko Uskey Gunaaho par Sharminda na Karey ...

Image
Hadees: Rasool-e-Kareem (ﷺ) ne farmaaya - “Jis Shakhs ne Apne Bhai ko kisi Aise Gunaah par Sharminda kiya Jis se Woh Taubah kar Chuka tha, Tou Woh Uss Waqt tak na Marega Jab tak ke Woh Uss Gunaah ko na kar lega.” 📕 Sunan Tirmizi, Hadees 2505 , 📕 Shobul Imaan, Hadees 6271 https://ummat-e-nabi.com/apne-bhai-ko-uske-gunaaho-par-sharminda-na-karey/?feed_id=1333&_unique_id=668caefbb242b

Khwab ki baate kisey bayan kar sakte hai?

Image
Khwab ki baate kisey bayan kar sakte hai Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “(Khwaab ko) Apne Kisi Muhabbat karne wale (Mukhlis) ya Sahib-e-ilm ke Alawa kisi se hargiz bayan na karo.” 📕 Sunan Abu Dawood, Hadees: 5020 Hasan https://ummat-e-nabi.com/khwab-ki-baate-kisey-bayan-kar-sakte-hai/?feed_id=1318&_unique_id=668b5d8f1d599

Hadees: Apne Khane ko Pakeeza bana lo tou tumhari Dua Qabool ho jayegi

Image
Apne Khane ko Pakeeza bana lo Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Apne Khane ko Pakeeza bana lo tou tumhari Dua Qabool ho jayegi." 📕 Targhib: Hadees 2484 https://ummat-e-nabi.com/apne-khane-ko-pakeeza-bana-lo/?feed_id=1303&_unique_id=668a0c29b25f2

Sabse Bura Aadmi Wo hai Jiski Badzubani ki wajah se ...

Image
Jiski Badzubani ki wajah se Log Us se Milna Chhor de RasoolAllah (ﷺ) farmate hai ke: "Logo me Sabse Bura Aadmi Wo hai Jiski Badzubani ki wajah se Log Us se Milna Chhor de." 📕 Bukhari: Hadees 6054 https://ummat-e-nabi.com/jiski-bad-zubani-ki-wajah-se-log-usey-chorr-de/?feed_id=1288&_unique_id=6688ba9f712b0

Allah ka Naam Lekar Darwaze Band kiya karo Kyunki ...

Image
Allah ka Naam Lekar Darwaze Band kiya karo Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “ Allah ka Naam Le Kar Darwaze Band kiya karo , Kyunki Shaitan Aise band Darwaze ko Nahi khol Sakta.” 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 3304 https://ummat-e-nabi.com/allah-ka-naam-lekar-darwaze-band-kiya-karo/?feed_id=1273&_unique_id=66876922877bb

Koi Momin Shohar apni Biwi se Nafrat Na kare

Image
Koi Momin Shohar apni Biwi se Nafrat Na kare Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Koi momin Shohar apni kisi Momina Biwi se Nafrat na kare. Agar Usey Biwi ki Ek Baat Napasand hogi tou Dusri Zaroor Pasand Aayegi." 📕  Sahih Muslim, Hadees: 3645 https://ummat-e-nabi.com/koi-momin-shohar-apni-biwi-se-nafrat-na-kare/?feed_id=1258&_unique_id=668617a0336ca

Zinaa, Chori, Sharaab Khori Momeen Ka Kaam Nahi : Hadees

Image
Zinaa, Chori, Sharaab Khori Momeen Ka Kaam Nahi Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - " Zinaa karney wala Zinaa kartey waqt Momin nahi rehta, Sharaab peeney wala sharaab peetey waqt momin nahi rehta, Chori karney wala chori kartey waqt momin nahi rehta, Jab koi lootney wala loot'ta hai aur log usey dekhtey hain Uss waqt wo bhi momin nahi rahta." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 6772 https://ummat-e-nabi.com/zina-chori-sharab-khori-momeen-ka-kaam-nahi/?feed_id=1243&_unique_id=6684c60334381

Aadmi apne Dost ke deen pe chalta hai

Image
Hadees: Aadmi apne Dost ke deen pe chalta hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Aadmi apne Dost ke deen par hota hai. Lihaja tum me se har shakhs ko ye dekhna chahiye ke wo kis se dosti kar raha hai." 📕 Abu Dawood; Hadees: 4833-Hasan https://ummat-e-nabi.com/aadmi-apne-dost-ke-deen-pe-chalta-hai/?feed_id=1228&_unique_id=6683749721b99