Momin ki Sifat Sabr aur Shukr karna ۞ Hadees: Rasool-e-Kareem (ﷺ) farmate hai: "Momin ka Muamla bhi Ajeeb Hai ke! jab ALLAH usey Neymat bakshta hai tou wo Shukr karta hai aur ispe isko Sawab milta hai aur jab Allah usey Aazmata hai aur uspe Taklif dalta hai tab wo Sabr karta hai aur ispe bhi isko Sawab milta hai." 📕 Sahih Muslim, Hadees 7138 WAJAHAT: SubhanAllah ! Allah Ke Nabi (ﷺ) Is Aahadees me Momin ki Sifat bayan kar rahe hai, Yaani Momin ki Khubi Ye hai ke Jab uspe Pareshani aati hai to Allah par Tawakkul Rakhte hue Sabr karta hai aur Jab Koi neymat Milti hai to Allah ka Shukr Ada karta hai. lekin Afsos! Aaj humpar koi Dushwari aati hai tou Bajaye Apne Rab Par Tawakkul Rakhne ke Hum Falah aur falah ke Aasthano pe Jaate hai. aur jab Allah humare muamlaat ko durust kar deta hai tou uski nisbat bhi hum Allah ke bajaye falah aur falah ho dene lagte hai.. Allah Reham kare, kis hadd tak hum Gumrahi me jii rahe hai.. Mere Aazeez Mohtaram bhaiy...
देवर से परदे का हुक्म! उक्बा बिन आमिर से रिवायत है, नबी करीम ने फरमाया: "औरतों के पास जाने से बचो।" किसी आदमी ने अर्ज़ किया: अल्लाह के रसूल! देवर के बारे में बताइए, आप (सलाल्लहु अलैह वसल्लम) ने फ़रमाया : " दैवर तो मौत है।" MISHKAT UL MASABIH 3102
Hadees Of The Day | 27 September Hadees Of The Day | 27 September Dil Sahih tou pura Jism Sahih Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Jism me ek tukda hai jab wo thik rahega tou pura jism thik rahega aur jab wo kharab ho jayega tou pura jism kharab ho jayega. sun lo! wo tukda aadmi ka Dil hai. " 📕 Sahih Bukhari: 52
Comments
Post a Comment