Zikr-e-Ilaahi karne walo ke Liye Khush khabri

Zikr-e-Ilaahi karne walo ke Liye Khush khabri

Hazrte Abu Huraira (R.A) se Mairvi hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ka farman hai -

“Allah Ta'ala ke kuch Sayyah (Yaani Sair Karne Wale) Farishte hai,

Jab Woh Mehafil-e-Zikr (Allah ka Zikr/Ibadat karne walo) ke Paas se Gujarte hai tou Ek Dusre se kahte hai: (Yahan) Baitho.

Jab Zakirinn (Zikr Karnewale) Dua Mangte hai tou Farishte Unki Dua par 'Aameen' Kehte hai.

Jab Woh Nabi (ﷺ) par Durood bhejte hai tou Woh Farishte bhi Unke Sath Milkar Durood bhejte hai, Hatta ki woh Muntashir (Yaani Idhar Udhar) ho jate hai.

Phir Farishte ek dusre ko kahte hai ki Inn Khush-Nasibo ke liye Khush-Khabari hai ki woh Magfirat ke saath wapas ja rahe hai."

📕 Jam'ul Jawami'a Lissuyuti,J 3, Safa 125, Hadees-7750

https://ummat-e-nabi.com/zikr-e-ilaahi-karne-walo-ke-liye-khushkhabri/?feed_id=234&_unique_id=6656a185879e9

Comments

Popular posts from this blog

25 Islamic Status Quotes about Parents in HD Images Download for WhatsApp

Best Islamic Marriage Quotes | Inspirational Quotes about Marriage ...