Posts

Showing posts from June, 2024

Hadees: Quran ki Shifarish Tilawat karne wale ke haq me

Image
Hadees: Quran ki Shifarish Tilawat karne wale ke haq me Hadees: Abu Umama (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Quran ki tilaawat kiya karo, is liye ke yeh Qayamat ke din tilaawat karne waalon ke haq mein Sifarish karega." 📕 Sahih Muslim, Hadees 804  https://ummat-e-nabi.com/tilawat-e-quran-ka-ahtimaam-karo/?feed_id=1198&_unique_id=6680d197089b4

Hadees: Apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo!

Image
Apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! Jabir (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Tum apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! kahin qubooliyat ka waqt ho aur Allah us bad-dua ko qubool kar le (phir tum pachhtaate raho)." 📕 Muslim, Hadees 7705 https://ummat-e-nabi.com/hadith-tum-apne-liye-apni-aulaad-aur-apne-amwaal-ke-liye-bad-dua-mat-karo/?feed_id=1183&_unique_id=667f7ffc047e5

Qayamat ke Din sabse pahle Khoon ka Faisla hoga

Image
Qayamat ke Din sabse pahle Khoon ka Faisla hoga Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Qayamat ke Din Logon ke Darmiyan Sabse Pehle Jis Cheez ka Faisla hoga woh Na Haq Khoon ke Badle ka hoga.” 📕 Sahih Bukhari: Hadees 6533 https://ummat-e-nabi.com/qayamat-ke-din-sabse-pahle-khoon-ka-faisla-hoga/?feed_id=1168&_unique_id=667e2e88f1f16

Ek Momin dusre momin ke liye Imarat ki tarah hai

Image
Ek Momin dusre momin ke liye Imarat ki tarah hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Ek Momeen dusre Momin ke liye Imarat ki tarah hai, Uska ek hissa dusre hisse ko Quwwat pahuchata hai." 📕 Sahih Muslim, Hadees 2556 https://ummat-e-nabi.com/ek-momin-dusre-momin-ke-liye-imarat-ki-tarah-hai/?feed_id=1153&_unique_id=667cdd4dedece

Fizool kharchi se bachna aadhi kamaai hai

Image
Fizool kharchi se bachna aadhi kamaai hai Hadees: Abdullah bin Umar (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Kanjoosi aur fuzool kharchi se bachte huwe kharch karna aadhi kamaai hai." 📕 Shoaib Ul Iman, Hadess 6568 https://ummat-e-nabi.com/fizool-kharchi-se-bachna-aadhi-kamaai-hai/?feed_id=1138&_unique_id=667b8ba79a367

Farz Namaz ke Baad Nafeel ki Fazilat

Image
Farz Namaz ke Baad Nafeel ki Fazilat Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke, Allah Taala farmata hai - "Mera Banda Farz ada karne ke Baad Nafeel Ibadatein Kar ke Mujhse Itna Qareebho jata hai ki Main Us se Mohabbat karne lag jata hu." 📕  Sahih Bukhari, Hadees: 6502 https://ummat-e-nabi.com/farz-namaz-ke-baad-nafeel-ki-fazilat/?feed_id=1123&_unique_id=667a3a0955223

Allah se Dua Mangne ka Tarika

Image
Allah se Dua Mangne ka Tarika Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab tum me se koi Dua kare tou Pehle apne Rab ki Tareef bayan kare, Phir Nabi (ﷺ) par Durood bheje Uske baad jo chahe Dua maange." 📕 Abu Dawood, Hadees: 1481 (Sahih) https://ummat-e-nabi.com/allah-se-dua-mangne-ka-tarika/?feed_id=1108&_unique_id=6678e87aed65e

Apne Bhai ko Fayda Pahunchao

Image
Apne Bhai ko Fayda Pahunchao RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : “Tum me se Jo Shakhs Apne Bhai ko Fayda Pahunchane ki Taaqat rakhta ho tou Usey Chahiye ki Woh Apne Bhai ko Fayda Pahunchaye.” 📕 Sahih Muslim, Hadees : 2199 https://ummat-e-nabi.com/apne-bhai-ko-fayda-pahunchao/?feed_id=1093&_unique_id=66779703ae6e4

Hadees: Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou uspar bhi sawab diya jata hai

Image
Hadees: Irbaz bin Saariyah (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou uspar bhi Sawaab diya jata hai." 📕 Musnade Ahmed, Hadees  17155 https://ummat-e-nabi.com/jab-aadmi-apni-biwi-ko-paani-pilaata-hai/?feed_id=1078&_unique_id=6676458c12967

Allah uspar Gussa hota hai

Image
Allah uspar Gussa hota hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya : "Beshaq jo shakhs Allah se nahi mangta tou Allah uspar Gussa hota hai.” 📕 Sunan Tirimizi, Hadees 3373-Hasan https://ummat-e-nabi.com/allah-uspar-gussa-hota-hai/?feed_id=1063&_unique_id=6674f40d67415

Koi Momin Mard, Apni Momina Biwi se Bughz na rakkhe

Image
Koi Momin Mard, Apni Momina Biwi se Bughz na rakkhe Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Koi Momin Mard, Apni Momina Biwi se Bhugz (nafrat) na rakkhe, kyunki agar Us sey uss ki koi Aadat Napasand hai tou koi dusri pasand bhi hogi." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 1467(3645) https://ummat-e-nabi.com/koi-momin-mard-apni-momina-biwi-se-bughz-na-rakkhe/?feed_id=1048&_unique_id=6673a2863bf63

Musalmano ke Gharo me Sabse Accha aur Bura Ghar

Image
Musalmano Ke Gharo me Sabse Accha aur Bura Ghar Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmatey hai ke - "Musalmano ke Gharo me Sab se Behtareen Ghar wo hai Jisme koi Yateem Rehta hai aur Uss ke Saath Behtareen Salooq kiya Jaata ho. Aur Musalmano ke Gharo me se Badd'tareen Ghar wo hai ki Jis me Koi Yateem ho aur Us ke Saath Bura Salooq kiya jata ho." 📕 Tibrani Kabeer: Hadees 13434 https://ummat-e-nabi.com/musalmano-ke-gharo-main-sub-se-behtareen/?feed_id=1033&_unique_id=667250fa4a43d

Purey yakin se Allah se Dua mange kyunki Allah ke liye kuch bhi Namumkin nahi

Image
Purey yakin se Allah se Dua mange Hadees: Abu Huraira (R.A) ne kaha ki, RasoolAllah (ﷺ) ne Irshaad farmaya: "Jab tum me se koi Dua kare tou yeh na kahe ki 'Ya Allah mujhe bakhsh de agar tu chahe tou, mujh par reham farma, agar tu chahe tou mujhe rizq de,' balki yakin ke sath Dua kare Kyuki Allah Ta’ala jo chahata hai karta hai aur koi uss par zabardasti karne wala nahi hai." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees: 6339 https://ummat-e-nabi.com/pura-bharosa-karke-dua/?feed_id=1018&_unique_id=6670ff8791baa

Tumhaare Kamzoron ki wajah se hi tum ko Rozi di jaati hai

Image
Tumhaare Kamzoron ki wajah se hi tum ko Rozi di jaati hai ۞ Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmate Hai: “Tumhaare Kamzoron ki wajah se hi tum ko Rozi di jaati hai aur tumhaari madad ki jaati hai.” 📕 Sahih al-Bukhari 2896 https://ummat-e-nabi.com/tumhaare-kamzoron-ki-wajah-se-hi-tum-ko-rozi-di-jaati-hai/?feed_id=1003&_unique_id=666fadfc688ce

Gunaah se Sacchi Tauba karne ka Fayda

Image
Gunaah se Sacchi Tauba karne ka Fayda Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Gunaah se Sacchi Tauba karne wala us shakhs ki tarah ho jata hai jiska koi gunah nahi." 📕 Sunan Ibne Majah, Hadees: 4250 Hasan https://ummat-e-nabi.com/gunaah-se-sacchi-tauba-karne-ka-fayda/?feed_id=988&_unique_id=666e5c886aa8e

Poore Gharwalo ki Taraf se ek hi Qurbani karna kaisa hai?

Image
Poore Gharwalo ki Taraf se ek hi Qurbani karna kaisa hai? Hadees: Hazrat Abu Ayyub Ansari (R.A) farmate hain: "Nabi ﷺ Ke Zamane Mein Aadmi Apni Taraf se aur Apne Ghar Walon ki Taraf se Ek Bakri ki Qurbani karta tha." 📕 Sunan Ibne Majah, Hadees : 3147 Sahih https://ummat-e-nabi.com/poore-gharwalo-ki-taraf-se-ek-hi-qurbani-karna-kaisa-hai/?feed_id=965&_unique_id=666d68dec1845

Momin ki Sifat Sabr aur Shukr karna

Image
Momin ki Sifat Sabr aur Shukr karna ۞ Hadees: Rasool-e-Kareem (ﷺ) farmate hai: "Momin ka Muamla bhi Ajeeb Hai ke! jab ALLAH usey Neymat bakshta hai tou wo Shukr karta hai aur ispe isko Sawab milta hai aur jab Allah usey Aazmata hai aur uspe Taklif dalta hai tab wo Sabr karta hai aur ispe bhi isko Sawab milta hai." 📕 Sahih Muslim, Hadees 7138 WAJAHAT: SubhanAllah ! Allah Ke Nabi (ﷺ) Is Aahadees me Momin ki Sifat bayan kar rahe hai, Yaani Momin ki Khubi Ye hai ke Jab uspe Pareshani aati hai to Allah par Tawakkul Rakhte hue Sabr karta hai aur Jab Koi neymat Milti hai to Allah ka Shukr Ada karta hai. lekin Afsos! Aaj humpar koi Dushwari aati hai tou Bajaye Apne Rab Par Tawakkul Rakhne ke Hum Falah aur falah ke Aasthano pe Jaate hai. aur jab Allah humare muamlaat ko durust kar deta hai tou uski nisbat bhi hum Allah ke bajaye falah aur falah ho dene lagte hai.. Allah Reham kare, kis hadd tak hum Gumrahi me jii rahe hai.. Mere Aazeez Mohtaram bhaiy

Apne Maa Baap ki Kabhi Nafarmani Na karna: Hadees

Image
Apne Maa Baap ki Kabhi Nafarmani Na karna Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmatey hai: "Apne Maa-Baap ki Kabhi Nafarmani Na Karna, Chahe Woh Tumko Ghar aur Maal Wa Jaydaad Chhodne ka Huqm Dein." 📕 Musnad-e-Ahmad: Hadees 21570 • Note: Bashartey Baat Khilaf-e-Shariyat Na ho https://ummat-e-nabi.com/maa-baap-ki-kabhi-nafarmani-na-karna/?feed_id=938&_unique_id=666bb9a47bf78

Youm-e-Arfa ka Roza aur Uski Fazilat | Janiye: Arfa ka Roza kab hai?

Image
Arfa - 9 Zil Hijja ka Roza 2024 (India) Arfa ka Roza India mein 15 June 2024 ko hoga. India me 9 Zil-Ḥijjah ka Roza 28 June 2024 ko hoga. <<<<<<<<< ۞ >>>>>>>>> Mafhum-e-Hadees Youm-e-Arfa ke Roze ki Fazilat Hadees: Abu Qatada (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) se Youm-e-Arfa (9 Zil Hajj) ke Rozey ke baarey me poocha gaya tou Aap (ﷺ) ne farmaya: " Is din ka Roza guzishta(guzre hue) saal aur aainda(aane wale) saal ke Gunnaho ka kaffara hai. " 📕 Sahih Muslim, Kitabul Siyaam, Hadith no. 367 WAJAHAT: Zulhijjah ki 9th tarikh ko Youm-e-Arfa Yaani Arfa ka din kaha jata hai aur is Din ka Roza In sha Allah-Ul-Azeez! Humare liye 2 saal ke Gunaho ka Kaffara banega. Isme ulemao ka ikhtelaf hai ke aayinda(agle) 2 saal ya agle aur pichle milakar 2 saal. Beharhaal! hume chahiye ke is roze ka ahtmam karke is se fayda hasil kare. Note : ye Roza jo Haaji is Saal Hajj k

Har Shakhs ko uski Mout waali Kaifiyat me uthaya jayega

Image
Har Shakhs ko uski Mout waali Kaifiyat me uthaya jayega Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Har Shakhs ko usi Kaifiyat me uthaya jayega jis par usko mout aayi thi." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 2878(7232) https://ummat-e-nabi.com/har-shakhs-ko-uski-mout-waali-kaifiyat-me-uthaya-jayega/?feed_id=903&_unique_id=666a67f37a43e

Kisi ko Kafir kehna kaisa hai?

Image
Kisi ko Kafir kehna kaisa hai? Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Agar Koi Shakhs Kisi Shakhs ko Kaafir ya Faasiq kahe aur Woh Dar Haqeeqat Kaafir ya Faasiq na ho to Khud Kehne wala Faasiq aur Kaafir ho Jayega ." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 6045 https://ummat-e-nabi.com/kisi-ko-kafir-kehna-kaisa-hai/?feed_id=888&_unique_id=6669169ba21ee

Astaghfar ki Dua, Astaghfar ka Taruf, Ahmiyat, Fazilat | Astaghfar in Hindi

Image
Astaghfar ka Taruf Astaghfar kise kehte hai ? Insan ki fitrat hai ke us se khata, galati ya gunah ho jate hai, aur jab wo apne kiye par sharminda ho kar sacche dil se apne Rab se muafi talab karta hai tou usey ' Astaghfar ' kehte hai. Astaghfar ki Ahmiyat: ۞ Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Main Allah ki bargah me Astaghfar (Muafi Manga) karta hoon aur uski taraf ruju karta hoon din me 70 baar se bhi jyada." 📕 Bukhari, Vol:8, Book:75, Hadith 319 Hum sab jante hai ke Ambiya (Alaihi Salato Salam) Gunaho se paak hote hai, aur Allah ke Nabi (Salallahu Alaihi Wasallam) tou bakhshe bakhshaye hai, lekin fir Aap  (ﷺ) apni Ummat ko tarbiyat dene ke liye khud Astagfar ki qasrat kiya karte they. lihaja hum par tou lazim hai ke hume jyada se jyada Astaghfar karna hai. Astaghfar ki Fazilat: ۞ Hadees: Anas (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jo Astghfar karne ko apne upar lazim karega tou Allah Subhanahu

Al-Quran: Jis Shakhs ne Dunia me Jarra barabar bhi koi burayi ki hogi tou ...

Image
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Insan Apni Har acchayi aur Burayi Qayamat me dekh lega Allah Taala Quraan me farmata hai: "Jis Shakhs ne (Duniya) me Jarra barabar bhi koi burayi ki hogi tou wah usey aakhirat me dekh lega." 📕 Surah Az-Zalzalah 99:08 https://ummat-e-nabi.com/al-quran-jis-shakhs-ne-dunia-me-jarra-barabar-bhi-koi-burayi-ki-hogi-tou/?feed_id=833&_unique_id=666809004b9d6

Jannat ki adna see jagah Dunia se behtar

Image
Jannat ki adna see jagah Dunia se behtar Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jannat mein Ek Kooda Rakhne Jitni Jagah Duniya aur is mein Jo kuch hai, Sab se Behtar hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 6415 https://ummat-e-nabi.com/jannat-ki-adna-see-jagah-dunia-se-behtar/?feed_id=823&_unique_id=6667c5210ce11

Koun Kisko Salaam kare?

Image
Koun Kisko Salaam kare? Hadees: Hazrat Abu Hurairah (R.A) se riwaayat hai ke, Nabi-e-Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: "Chhota bade ko Salaam kare, Guzarne waala baithe hue ko Salaam kare aur thode aadmi Zyaada Aadmiyon ko Salaam Karein." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 6231 https://ummat-e-nabi.com/koun-kisko-salaam-kare/?feed_id=808&_unique_id=6666738fc30cc

Bhalayi aur Burayi Ek Jaise Nahi ho Sakti ...

Image
Bhalayi aur Burayi Ek Jaise Nahi ho Sakti Ismey koi Shaq Nahi ke Allah aur Uskey Rasool ka Paigaam Haq hai, Allah Ta'ala Quraan-e-Kareem ki Muabarak Aayat me farmata hai ke - ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Bhalayi aur Burayi Ek Jaise nahi ho Sakti tou tum Burayi ko Apne Bhale Sulook se Door kar Do, Phir kya Dekhoge ki Jis Shakhs aur Tumhare Beech Dushmani thi Unme aisa ho Jaayega jaise koi Pakke Dost hote hai." 📕 Quran 41:34 Iss Mudde per Quraan-e-Karim ki Rahnumaai Dil ko Badaa Sukoon deti hai, Rabb-e-Taala ne Burayi ko Khatm karne ki Iss Ayat me kya Khoob Taaleem di hai ki, Koi jab Humse buraa Sulook kare tou Hume uska badla bhale Sulook ki Shakl me dena chahiye Iss tarha se Ek Din wo bhi Humare Dost ho Jaaynge Jo aaj Humse Dushmani rakhte hain. Insha Allah !! Allah Taala Hume Kehne Sun'ne se jyada Amal ki Toufiq de. Ameen, Summa Ameen https://ummat-e-nabi.com/bhalayi-aur-burayi-ek-jaise-nahi-ho-sakti/?feed_id=780&_unique_id

Jabtak Banda apne bhai ki madad me laga rehta hai

Image
Jabtak Banda apne bhai ki madad me laga rehta hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Allah Ta'la us waqt tak Bande ki madad mein laga rehta hai jab tak Banda apne Bhai ki madad mein laga rehta hai.” 📕 Sahih Muslim, Hadees: 6853 (2699) Allah Ta’ala us ki Jarurat Poori Karega Abdullah ibn Umar (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne Farmaya: "Jo apne Bhai ki Jarurat Poori karega, Allah Ta’ala us ki Jarurat Poori Karega" 📕 Bukhari, Hadees: 2442 https://ummat-e-nabi.com/jabtak-banda-apne-bhai-ki-madad-me-laga-rehta-hai/?feed_id=768&_unique_id=6665221377968

Samjhote me Pahal Karne Wale ke Gunah Muaf Kar Diye Jate hai

Image
Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya, "Do Jhagda Karne Walo me Pahle Sulah (Samjhota) Karne Wale ke Gunah Muaf Kar Diye Jate hai" 📕 Sahih Al Targeeb, Hadees 2759 https://ummat-e-nabi.com/samjhote-me-pahal-karne-wale-ke-gunah-muaf-kar-diye-jate-hai/?feed_id=753&_unique_id=6663d07a962e6

Shirk ke baad Sabse Bada Gunaah Maa-Baap ko bura bhala kehna

Image
Shirk ke baad Sabse Bada Gunaah Maa-Baap ko Bura bhala kehna Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "(Shirk ke baad) Sabse Bada Gunaah ye hai ke aadmi apne Maa Baap ko bura bhala kahe." 📕 Muslim, Hadees 263 https://ummat-e-nabi.com/shirk-ke-baad-sabse-bada-gunaah-maa-baap-ko-bura-bhala-kehna/?feed_id=738&_unique_id=66627eff11695

Uski 40 Raaton tak Namaz Qabool nahi hogi

Image
Uski 40 Raaton tak Namaz Qabool nahi hogi Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki: "Jo Shakhs kisi Ghaib ki khabrein sunaane waale ke paas aaye aur us se kisi cheez ke baare me puche to 40 Raaton tak uss shakhs ki Namaz Qabool nahi hoti." 📕 Sahih Muslim; Hadees 2230 (5821) https://ummat-e-nabi.com/uski-40-raaton-tak-namaz-qabool-nahi-hogi/?feed_id=723&_unique_id=66612d992bb46

दीमक में अल्लाह की कुदरत

Image
दीमक में अल्लाह की कुदरत अल्लाह तआला ने बेशुमार मख्लूक़ पैदा फ़रमाई है। उन में एक अजीब नाबीना मख्लूख “दीमक” भी है। वह नाबीना होने के बावजूद सर्दी और बारिश से बचने के लिये शानदार और मजबूत टावर नुमा घर बनाती है। जिस की ऊँचाई उन की जसामत से हजारों गुना ज्यादा होती है। उन घरों के बनाने में वह मिट्टी और अपने लुआब व फ़ज्ला का इस्तेमाल करती हैं। उन के घरों में बेशुमार खाने होते हैं। जिन में भूल भूलय्याँ , छोटी छोटी नहरों के रास्ते और हवा के गुजरने का इन्तज़ाम होता है। आखिर बीनाई से महरूम दीमक को टावर नुमा और शानदार घर बनाने की सलाहियत किसने अता फ़रमाई ? यक़ीनन यह अल्लाह ही की कारीगरी और उसी की कुदरत का करिश्मा है। Read More: https://ummat-e-nabi.com/hi/dimaq-me-allah-ki-qudrat/

Nikah Nigaah aur Sharmgah ki hifazat karta hai aur Roza Sehwat ko kum karta hai

Image
Nikah Nigaah aur Sharmgah ki hifazat karta Hadees: Abdullah bin Masud (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne Irshad farmaya - " Aye Jawaano Jo Tum me se Aurato ke Hakooq (Haq) ada karne ki Taaqat rakhta hai tou wo Nikah zaroor kare , Kyunki Nikah Nigaah ko Zukaata hai aur Sharmgah ki Hifazat karata hai Aur jo iski taaqat na rakhe tou woh Roza rakhe kyunki ye Sehwat (Wasna/Sex) ko kum karta hai. " 📕 Bukhari Sharif, Jild 3, Safa 52 , 📕 Tirmizi Sharif, Jild 1, Safa 533 https://ummat-e-nabi.com/nikaah-nigah-ko-zukata-hai/?feed_id=678&_unique_id=66601a679f2a6

Ilm ki Ahmiyat aur Fazilat: Quran aur Ahadith ki Roshni mein

Image
Ilm ki Ahmiyat aur Fazilat: Quran aur Ahadith ki Roshni mein Quran ki Roshni mein Al-Quran: ♥ Allah Ta’ala Yakinan Unn Logon Ko Jo Tum Me Se Imaan Laaye, Aur Jinhone Ilm Haasil Kiya Unkey Darjaat Buland Kar Ke Rahega. – Surat Al-Mujadila 58:11 Ahadith Ki Roshni Mein RasoolAllah (ﷺ) farmate hai: ♥ Ilm Haasil Karna har Musalmaan par Farz hai. – (Miskat P:24) ♥ Ilm Hasil Karna Har Ek Musalmam (Mard Aur Aurat) par Farz Hai. – (Sunan ibn Majah, Vol-1, Hadith-224) ♥ Har Cheez Ka Ek Raasta Hai Aur Jannat Ka Raasta Ilm Hai. – (K.Ummal) ♥ Raat Me Ek Pal (Ghadi) ke liye Ilm Padhna Padhaana Raat bhar ki Ibadat se behtar hai. – (Darami, Mishkat Sharif, Anwarul Hadis Page-58) ♥ Ilm Ki Majlish Me Haazir Hona 1000 Nafil Padhne Se Afzal Hai. – (Tafseer Roo’hul Bayaan, J#10, P#221) ♥ Behtareen Sadqa Yeh Hai Ki Musalman Aadmi Ilm Haasil Kare, Phir Apne Musalman Bhai Ko Sikhaaye. – (Ibn-e-Majah J:1 S:158 H:243) ♥ Ilm Ki Talab Me Jis Ke Qadam

Gibat Karne ka Gunah aur Azab

Image
Gibat Karne ka Gunah aur Azab Hadees: Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaaya: “Jab Mujhe Meraj Karaayi gayi tou Mera Guzar ek aisi Qaum par hua Jin ke Naakhoon Taambey (Nails of Copper) ke they Jo apne Chehron aur Seenon (faces & chests) ko Chhil (Scratch) rahey they." Maine Poocha : Aye Jibreel ! Yeh kaun hain ? Unho ne kaha : "Yeh Woh hai Jo Doosrey Logon ka Gosht khaatey (Yaani Gheebat/Back Biting) aur unki izzaton se kheltey hain.” 📕 Sunan Abu Daawood, Hadees 4878-Sahih # Sabaq: Musalmaan ki Gheebat karna yaa Choti Satah (level) ke Musalmano ki izzat wa Tauqeer (Sammaan) ko Malhooz (Dhyaan) naa rakhna, sakht Khatarnaak hai. https://ummat-e-nabi.com/gibat-karne-ka-gunah-aur-azab/?feed_id=635&_unique_id=66600dfd74c16

Mutakabbir ka Anjam | Ghamand karne wale ko Qayamat me Azab

Image
Mutakabbir ka Anjam Ghamand karne wale ko Qayamat me Azab Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmya "Qayamat ke din Mutakabbir (Ghamand karne wale) logo ko maidan e mahshar mein choti choti chiteeyon ki manind logo ki surton mai laya jayega innhen har jagah zillat dhanpe rehegi, Phir wo Jahannam ke ek aise Qaidkhane ki taraf hanke jayenge jiska naam Bulas hai, usme innhen Bhadakti huyee Aag ubalegi, Wo usme jahannamiyo ke zakhmo ke peep peeyenge jisko teenat Al Khabal kahte hain, yaani sadi hui badbudar kichad." 📕 Jamia Tirmizi, Jild 2, Hadees 381-Hasan Allah Rabbul izzat hume Taqabbur se bachaye, Ameen Allahumma Ameen https://ummat-e-nabi.com/mutakabbir-ghamand-karne-wale-logo-ko-hone-wala-azab/?feed_id=615&_unique_id=66600afe3c7ef

Ilm ki Talash me rehne wale ki Fazilat | Puraane Gunaaho ki Maghfirat

Image
Ilm ki Talash me rehne wale ki fazilat Puraane Gunaaho ki Maghfirat Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmate hai ke - "Jis Ne Ilm Talash Kiya Tou Yeh Talash Uss Ke Gujasta Gunaaho Ka Kaffara Ho Gayi” 📕 Miraatul Manahij, Jild 1, Safa 203 Wajahat : Taalib-e-Ilm se Sagira Gunaah Muaf hote jate hai, Jaise (Gunaah-e-Saghira) Wuzu Namaz Vagaira Ibadat se Lihaza Iska Matlab Yeh Nahi ke Talibe Ilm Jo Chahe Gunaah kare. Balki Matlab yeh hai ki Allah Ta’ala Niyat-e-Khair se Ilm ki Talab karne walo ko Gunaaho se Bachney aur Gujasta Gunaahao ka Kaffara Ada Karne ki Toufiq deta hai. SubhanAllah https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-talash-me-rehne-wale-ki-fazilat/?feed_id=595&_unique_id=665fff0f3a667

Jo log Allah ke liye Aapas me Mohabbat rakhte hain

Image
Allah ke liye Aapas me Mohabbat karne walo ka inaam Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya ke, Allah Ta'ala irshaad farmata hai: "Jo log meri Azmat aur Jalaal ki wajeh se Aapas me Mohabbat rakhte hain, Qayamat ke din unke liye Aise Noor ke Meember honge jin par Ambiya aur Shuhada bhi Rashk karenge." 📕 Jame Tirmizi, Hadees: 2390 ♥ SubhanAllah! Allah Rabbul Izzat hume kehne sun'ne se Jyada amal ki Taufik dey.. Ameen, ya Rabbul Aalameen. https://ummat-e-nabi.com/jo-log-allah-ke-liye-apas-me-mohabbat-rakhte-hain/?feed_id=575&_unique_id=665ffa15ee3c8

Bewah Aurato ka Nikah: Quran Hadees ki roshni mein

Image
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Bewah Aurato ka Nikah: Quran Hadees ki roshni mein Kuch Aisi Rasam’en bhi Musalman me Raaij hai ke Bewah Aurat ka Nikah ko Bura aur aar Samjhte hai, Balke Isko Aib Samajhne me Kufr ka khauf hai, Kyunke Shariyat ke kisi Hukm ko Aib Samajhna aur Iske karne waale ko Zaleel Jan'na Kufr hai. Allah Ta'ala ne Quraan me Irshaad farmaya hai : Al-QURAN "Aur Nikah kardo Apno me Inn ka Jo Benikah ho aur Apne Layaq Ghulamao aur Kaneezao ka." 📕 Surah Al-Noor 24:32 Mafhoom-e-Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad farmaya ke - "Yaani Meri Ummat me Fasaad Phail Jane ke Waqt jo Shakhs Musibat ke Waqt meri Sunnat par Amal kare Isko 100 Shaheedo ka Sawaab milega." 📕 Mishkaat Jild 1, Safa 30 Asah’al’matabeh, Jannati Zewar 304, 305 Allah Taala hume kehne sunne se jyada Amal ki taufiq de. Ameen Ya Rabbul Aalmeen. https://ummat-e-nabi.com/bewah-aurato-ka-nikah/?feed_id=554&_unique_id=665ff665202

Kaafir ya Mushrik se Nikah karna kaisa ?

Image
Kaafir ya Mushrik se Nikah karna kaisa ? Allah Raabul Izzat Qurane Kareem me farmata hai: "Aur tum Shirk karne wali aurton se us waqt tak Nikah na karo jab tak ke wo imaan na laaye, imaan wali laundi(Slave) bhi shirk karne wali azaad aurat se behtar hai, chahe wo tumhe acchi hi lagti ho, Aur Shirk karne wale mardon ke Nikah me apni aurton ko na do jab tak ke wo imaan na laye, imaan wala Gulaam, Azaad Mushrik se behtar hai, chahe tumhe mushrik hi acha lage, Yeh Jahannam ki taraf bulate hai aur Allah Rabbul Aalameen Jannat ki taraf, aur apni bakshish ki taraf apne hukm se bulata hai." 📕 Surah Baqrah 2:221 Meaning of the Arabic Word Kafir: Nonbeliever Mushrik: who practising idol worship https://ummat-e-nabi.com/kaafir-ya-mushrik-mardaurat-se-nikah-karna-kaisa-hai/?feed_id=533&_unique_id=665ff2cf1aaf0

Kisi Musalman ke Aib Chupaane ka Sawaab: Hadees

Image
۞ Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) Irshad farmatey hai ki, " Jo Aadmi kisi Musalman ke Aib ko Dekh le aur phir Usey Chhupaye tou isey Allah Ta’ala Itna Ziyada Sawaab ata karega jaise Zinda dafnayi bacchi ko Qabr se Nikal kar uski Parwarish kare aur uski Zindagi ka Saamaan kar dey." 📕 Mishkat 2-424 https://ummat-e-nabi.com/dusron-ke-aib-chupane-ka-sawaab/?feed_id=521&_unique_id=665fdbf7bf0ae

रेशम के कीड़े में अल्लाह की क़ुदरत

Image
रेशम के कीड़े में अल्लाह की क़ुदरत अल्लाह तआला ने एक खास किस्म की तितली पैदा फ़रमाई है, उस के अंडों से रेशम के कीड़े निकलते हैं। यह दरख्तों के हरे भरे पत्तों को खाते रहते हैं और उन के मुंह से रेशम का बारीक और कीमती तार निकलता रहता है जिसे वह अपने बदन पर लपेटते रहते हैं। फिर उसके तार को गर्म पानी में डालते हैं और उसके रेशों से धागा तय्यार करके रेशम के कीमती कपड़े तय्यार करते हैं, जो बाजार में भारी कीमत में बिकते हैं। आखिर इस नन्हे से कीड़े को उम्दा रेशम तय्यार करने की सलाहियत किसने अता फर्माई। यक़ीनन यह अल्लाह ही की कुदरत है। More: > https://ummat-e-nabi.com/hi/resham-ka-kida/

Usne Iman ki Mithaas ko paa liya (Hadees)

Image
Usne Iman ki Mithaas ko paa liya Anas (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya : Teen (3) Khaslate Aesi hai ki Jisme ye Paida ho jaye Uss ne Emaan ki Mithaas ko paya. ∗1. Pehli ye ki Allah aur Uske Rasool (ﷺ) ke Nazdeeq sab se Ziyada Mehboob ban jaye. ∗2. Doosri ye ki woh Kisi Insan se Mahaz Allah ki Raza ke liye Mohabbat rakhe . ∗3. Teesri ye ki woh Kufr me wapis Loute Jane ko aisa bura Janey Jaisa ki woh aag me Daale jane ko bura janta hai. 📕 Bukhari Sharif; Hadees 16 https://ummat-e-nabi.com/imaan-ki-mithaas/?feed_id=463&_unique_id=665e8a7d1d91b

चुम्बक (Magnet) में अल्लाह की क़ुदरत

Image
चुम्बक (Magnet) में अल्लाह की क़ुदरत अल्लाह तआला ने जमीन के अन्दर किस्म किस्म की धात रखी है, उस में से एक धात चुम्बक है, जो लोहे की एक किस्म है, यह लोहे को अपनी तरफ़ खींचता है और लोहे से चिपक जाता है और लोहे के अलावा किसी दूसरी चीज़ से नहीं चिपकता, अगर उस के सामने लकडी पत्थर वगैरा रखे जाएं, तो उससे नहीं चिपकता। जरा गौर कीजिए, के जमीन से निकली हुई मामूली सी धात में ऐसी ताकत किस ने रखी है यकीनन यह अल्लाह तआला की कुदरत है, जिस चीज में जैसा चाहता है वैसी खासियत रखता है। Read More > https://ummat-e-nabi.com/hi/chumbak-magnet-me-allah-ki-qudrat/

Allah bande ki Madad me Rehta hai

Image
Allah bande ki Madad me Rehta hai RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Aur Allah Bande ki Madad Mein Rahta hai Jab tak Banda Apne Bhai ki Madad me Rahta hai..” 📕 Sahih Muslim, Hadees : 2699 https://ummat-e-nabi.com/allah-bande-ki-madad-me-rehta-hai/?feed_id=426&_unique_id=665d39218a576

च्यूँटी अल्लाह की कुदरत का नमूना है

Image
च्यूँटी अल्लाह की कुदरत का नमूना है च्यूँटी भी अल्लाह की अजीब मखलूक है। इतने छोटे से जान्वर में अल्लाह तआला ने आँख नाक कान दिल व दिमाग हाथ पैर कितनी कारीगरी से बनाए। फिर इन को सोचने, समझने और सूंघने की बेपनाह सलाहियतों से नवाज़ा। वह एक मील की दूरी से मीठी चीज़ों का सूंघ कर पता लगा लेती है। च्यंटियों की सरदार को जब कोई चीज़ मिलती है, तो वह अपने मातहत तमाम च्यंटियो को .... Read more > https://ummat-e-nabi.com/hi/chunti-allah-ki-qudrat-ka-namuna/

3 Tarha ke Logon ke khilaf Allah Khud Gawahi dega: Hadees e Qudsi

Image
3 Tarha ke Logon ke khilaf Allah Khud Gawahi dega Hazrate Abu Hurairah (R.A) se Riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki Allah Ta'ala ka farman hai : "Teen (3) tarah ke log aise hain jiska Qayamat ke din Mai khud muddaii (opponent/khilaf) banunga" (1). Ek tou wo shakhs jis ne mere Naam par Ahad (Waada) kiya aur phir waada khilafi ki, (2). Dusra wo shakhs jisne kisi Aazad Aadmi ko baich kar uski Qeemat khayi, (3). Teesra wo shakhs jis ne kisi ko Mazdoor kiya phir kaam tou uss se pura kiya lekin uski mazdoori na di. 📕 Sahih Bukhari, Hadees 2270 https://ummat-e-nabi.com/3-tarha-ke-logon-ke-khilaf-allah-khud-gawahi-dega/?feed_id=376&_unique_id=665be77c9d182

Sooraj me Allah ki Qudrat | सूरज, अल्लाह की निशानी

Image
Sooraj me Allah ki Qudrat | सूरज, अल्लाह की निशानी अल्लाह तआला ने इन्सानों की पैदाइश से हज़ारों साल पहेले फ़रिश्तों के ज़रिए बैतुल्लाह (खाना-ऐ-काबा) तामीर कराई, यह रूए ज़मीन पर पहेला बाबरकत घर और दुनिया वालों के लिए अमन व सुकून की जगह है, फिर हज़रत आदम अलैहि सलाम ने दुनिया में आने के बाद बैतुल्लाह की तामीर फ़रमाई, बाज़ रिवायतों के मुताबिक तूफाने नूह (अ०) के मौके पर अल्लाह तआला ने हिफाज़त के लिए इस घर को आस्मान पर .... Read more > https://ummat-e-nabi.com/hi/baitulah-ki-tameer/